Attitude Revenge Shayari in Hindi 2 Line

revenge shayari in hindi

Kabhi kabhi zindagi humein aise mod par le aati hai jahan khamoshi bhi ek jawab ban jaati hai. Revenge shayari un jazbaaton ko bayaan karti hai jo dard, sabr aur waqt ke saath badle ki shakal ikhtiyar kar lete hain. Yeh alfaaz un logon ke liye hain jo chup reh kar bhi sab kuch keh dete hain.

Best Revenge Shayari in Hindi

कुछ को हकीकत, कुछ को ख्वाब करना है
बहुत से लोग हैं जिनका हिसाब करना है
(Kuch ko haqiqat, kuch ko khawab krna hai
Boht say log hain jin ka hisaab krna hai)

परवाह नहीं चाहे जमाना कितने ही खिलाफ हो
हिसाब सब का होगा, चाहे कोई कितना भी नवाब हो
(Parwah nahi chahe jamana kitne he khilaaf ho
Hisaab sab ka hoga, chahe koi kitna bhi nawab ho)

मैं चुप हूं, कुछ वजह है
जिस दिन बरस जाऊंगा, उस दिन तरस भी नहीं खाऊंगा
(Main chup hun, kuch wajah hai
Jis din baras jaunga, us din taras bhi nahi khaunga)

जो साथ बैठ कर हंसते हैं
वो सांप बन कर डसते हैं
(Jo sath beth ker hanste hain
Woh saanp ban ker daste hain)

कोई तुम सा भी काश तुम को मिले
मुद्दआ हम को इंतिक़ाम से है
(Koi tum sa bhi kash tum ko mile
Muddaa hum ko inteqaam se hai)

हम बोलते भी कुछ नहीं,
और भूलते भी कुछ नहीं।
(Hum bolte bhi kuch nahi,
Aur bhoolte bhi kuch nahi.)

उन लोगों के साथ तो गुज़ारा हो सकता है जिनकी तबियत खराब हो
मगर उन के साथ नहीं जिनकी तरबियत खराब हो
(Un logon ke sath to guzara ho sakta hai jin ki tabiyat kharab ho
Magar un ke sath nahi jin ki tarbiyat kharab ho)

जो हमारे क़द के बराबर ना आ सके,
वो हमारे क़दमों में खुदाई करने लगे।
(Jo hamare qad ke barabar na aa sake,
Wo hamare qadmon mein khudayi karne lage.)

बात बात पर बिगड़ा मत करो,
हम बिगड़े तो तुम्हारा नक्शा बिगाड़ देंगे।
(Baat baat par bigda mat karo,
Hum bigde toh tumhara naqsha bigaad denge.)

हम ज़ख़्म गहरे देंगे,
तुम थोड़ा सब्र तो करो।
(Hum zakhm gehre denge,
Tum thoda sabr toh karo.)

शरारत करो, साज़िशें नहीं,
हम शरीफ़ हैं, सीधे नहीं।
(Shararat karo, saazishein nahi,
Hum shareef hain, seedhe nahi.)

बेचैनी देख चुके हो हमारी, अब सब्र भी देखना,
इस कदर खामोश रहेंगे हम कि चीख उठोगे तुम!
(Bechaini dekh chuke ho hamari, ab sabr bhi dekhna,
Is kadar khamosh rahenge hum ke cheekh uthoge tum!)

वक़्त वक़्त की बात है,
और वक़्त सबका आता है।
(Waqt waqt ki baat hai,
Aur waqt sabka aata hai.)

हिसाब-किताब हम भी करेंगे,
बस सही वक़्त का इंतज़ार है।
(Hisaab kitaab hum bhi karenge,
Bas sahi waqt ka intezar hai.)

ये जो तुमने खुद को बदला है,
ये बदला है या “बदला” है?
(Ye jo tumne khud ko badla hai,
Ye badla hai ya “badla” hai?)

हम कुछ दिन खामोश क्या हुए,
कुत्तों ने भौंकना शुरू कर दिया।
(Hum kuch din khamosh kya huye,
Kutton ne bhonkna shuru kar diya.)

सबकी हक़ीक़त जानता हूँ,
बस खामोशी से झूठ सुनता हूँ।
(Sabki haqeeqat jaanta hoon,
Bas khamoshi se jhooth sunta hoon.)

जब मैं अपनी ज़िद पर आता हूँ,
तो सिर्फ़ ज़िद देखता हूँ, नुक़सान नहीं।
(Jab main apni zid par aata hoon,
Toh sirf zid dekhta hoon, nuksaan nahi.)

जो हमें नीचे दिखाना चाहता है,
वो खुद नीचे गिर जाता है।
(Jo humein neeche dikhana chahta hai,
Wo khud neeche gir jata hai.)

मेरी खामोशी मेरा गुरूर है,
हर सवाल का जवाब वक़्त खुद देगा।
(Meri khamoshi mera guroor hai,
Har sawaal ka jawaab waqt khud dega.)

तुम समझते हो कि मैं बुरा हूँ,
तुम ग़लत समझते हो, मैं बहुत बुरा हूँ।
(Tum samajhte ho ke main bura hoon,
Tum galat samajhte ho, main bahut bura hoon.)

जो ख़ाक तक नहीं उड़ा सकते,
वो हमें उड़ाने की बात कर रहे हैं।
(Jo khaak tak nahi uda sakte,
Wo humein udane ki baat kar rahe hain.)

उँगलियाँ वही लोग उठाते हैं,
जिनकी हमें छूने की भी औक़ात नहीं होती।
(Ungliyaan wahi log uthate hain,
Jinki humein chhoone ki bhi auqat nahi hoti.)

जहाँ तुम्हारी ज़रूरत ना हो,
वहाँ से उठ कर जाना ही सबसे बड़ा बदला है।
(Jahan tumhari zaroorat na ho,
Wahan se uth kar jana hi sabse bada badla hai.)

एक दिन मेरा नाम भी तुम्हारे लबों पर होगा,
बस तब तक अपनी औक़ात मत भूलना।
(Ek din mera naam bhi tumhare labon par hoga,
Bas tab tak apni aukaat mat bhoolna.)

गलत को गलत और सही को सही कहने की हिम्मत रखता हूँ,
इसलिए मैं रिश्ते आज-कल कम रखता हूँ।
(Galat ko galat aur sahi ko sahi kehne ki himmat rakhta hoon,
Isiliye main rishte aaj-kal kam rakhta hoon.)

  • जलते रहो मेरी कामयाबी देखकर,
  • अभी तो पूरी दुनिया को झुकाना बाकी है।
  • (Jalte raho meri kamyabi dekh kar,
  • Abhi toh poori duniya ko jhukana baaki hai.)

You May Also Like